Posts

Showing posts from January, 2016

Aas Aasha Aastha

khwaab hoon tumhari aankhon ka.. jab palkon ko jhukate ho tum tab kahin gahan andhakar se nikal kar, tumhein choo jaati hoon main fir bhar deti hoon sapnon mein rangon ke anek dhaage, jinhein bun kar tum apni kalpanayein banate ho main anant hoon, anashwar, tumhara srujan hone se pehle bhi main wahin thi tumhare us nanhe se adrishya hriday mein dhadakti hui... tumhari vishwa ko jaanane ki jigyasa mein liptee hui tumhare har mantavya ko samajhti hui main nayi kritiyon se parichay karati thi tumhara phoolon ki pankhuriyon ki narmee aur suraj ki taptee garmi ka nazaara main tumahri soch mein hoon nishpaksh se santosh mein hoon main tumhari kalpana ke har naye abhishek mein hoon mujhko dhoondho, mujhko khojo main jeevan strot hoon tumhara mujhpar hi to hai aadharit har ek parishram tumhara taap jitna hai hriday mein utna mujhko chahte ho aasha hoon main, astha main, main bharosa hoon tumhara